Ishaare Lyrics

lage ki sab sikha kar bhi na seekha

main zindagi se haara phir bhi jeeta

na sun paaya kuch dar mein hi tab aa kar bas phir cheekha

bachpan se hi main ungliyo ki tarah ishaaro mein hi jeeta

kaash

kaash kar paata sab aapke hawale

kaash suna paata aapko ye gaane

bas ek aakhri dafa khudki shanti ke naam

kaash kisi tarah suna paata aapko hi aapki awaaz

kaash iss kaash ka zikar hi bilkul kuch na ho

kaash aisa ek khuda ho

jo asal mein sab sunta ho

par woh dam bhi kya dam hai jo ghutta nahi hai

khuda bhi hai aapki tarah woh meri sunta nahi hai

par kab tak uday asliyat aur khudse bhaaga

zindagi bikhre moti pirona paaya usmein dhaaga

bas main aap se sawaal ye poochhu

agar ye zindagi ho shaant toh aap sun chuke kya mujhse zyada

meethe bol par koi nami na mile

tabhi toh unki kamiyon mein kabhi kami na mile

yahan khoon bhi bhool se hi baha par dikha uski har ek boond ki gehraaiyon mein dariya mile

unse baat karne ka koi tareeka mile

mujhe laga sab mere paas par sab kabhi na mile

main apni roshni mein kaid itna zyada jab andhera dikha laga ki hum ghar hi aa gaye

ishaare

jo nazaroon mein aaye na aise nazaare dikhate

ye kaise ishaare

ye kaise ishaare

hum baithe samundar par jiske na koi kinaarein

ye kaise ishaare

ye kaise

ye dimaag bhi hai ek kagaz sab kuch ulta likha

jaal bhi jaal ke liye sundar par woh gunjal hi tha

unka dimaag toh ek bachhe jitna

khair woh kaagaz jab tak khaali iss duniya mein tab tak sundar bhi haan

ek phool ko khushboo ki seekh hoti kya

unhe to pata bhi na ho bolne sunne jaisi chiz hoti kya

asal mein sabse zyada vahi shor hai

jab tum chillaate magar sunne mein koi cheekh ho bhi na

boli ek chiz

boli kharaab hoti jiske bhi paas usse kadar na  

udhar sab betuka

paani ki keemat pyaase se zyada nadi ko  

main diya itna zyada ye samundar banke dekh chuka

dukh bas iska unki aankhon ko samajh na paya

unhe lagta ki main kaafi khush bholapan bas chhaaya

unke liye mera dil saaf

unhe kya pata main sab kuch sunke bhi kuch bhi sahi tha kar na paya

ye nazariyo ki baatein saari

jo lehre pichhe aati samundar ke liye wohi aage jaati

asal mein to ye duniya hi jo suni na

jo bol nahi hai sakta uski hi sabse madhur vaani

ishaare

jo nazaroon mein aaye na aise nazaare dikhate

ye kaise ishaare

ye kaise ishaare

hum baithe samundar par jiske na koi kinaarein

ye kaise ishaare

ye kaise ishaare

oh oh woah

ye kaise ishaare

Written By: Uday

Shares:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *